Gharelu jhagade Kaise Rokey?
Aajkal Samaj me ghar pariwar ke sadasyo me aapsi matbhed avam duriyan Kai karno se badhati ja rahi hai jiske karan hamesha Sabhi sadasya tanav me rahte Hain. Kabhi kabhi to ye jhagade itne bade ho jate hai ki pariwar toot jate hai ya kabhi kabhi sadasya galat kadam utha Lete Hain avam apni jindagi se bhi hath dho baithate Hain.
Aaiye jhagdon ke kuch mukhya Karan avam roktham ke upay :
* Pati Patni me jhagade :
1. Paryapt samay na dena :pati avam patni ke bich me hone vale jhagade ka mukya Karan pati dwara patni Ko paryapt samay na bitana.
Upay: pati Ko chahiye ki vo apni patni Ko paryapt samay de taki uski wife ko akelapan mahsus na ho.
2.Patni Ko Keval Ghar me hi rakhana: Pati dwara patni Ko Kahi ghumane Nahi leja pana. Yah aik bahut badi jhagade ki vajah banti hai avam pati patni me manmutav bana rahta hai.
Upay : sambhavtah har patni ye chahti hai ki pariwar ke atirikt use bhi Kahi ghumane ya samay butane ke liye uska pati Kahi lekar jaye . Kamsekam mahine me Do ya Teen bar bahr ghumane le jaye ya kisi hotel vagehra me dinner ka decide Kare.
3. Rupaye paise dene se parhej Karna :Pati dwara apni salary ka kuch bag patni Ko na dena. samanytaya Bhartiya parivaro me sadasya apni salary Apne Maa ya Apne pitaji Ko hi lakar dete hai .
Upay : jis prakar maa Aur pita dono aapke Apne hote hai usi tarha patni bhi Apki ardhangini hoti hai use bhi hath me salary ka kuchh hissa diya Jana chahiye .
4. Pasand avam na pasand ka Dyan na rakhana : Apni patni avam pati ki pasand napasand ka Dyan na rakhana.
Upay : jab koi vivah ke Bandhan me bandhata hai to pati avam patni Ko aik dusare ki pasand ka Dyan rakhte huye hamesha Dyan rakhana chahiye.
5. Bhavnaye samajhane mai chook :Aik dusre Ki bhavnao Ko Nahi samajh pana.
Upay : pati avam patni do alag alag kinaro ke Milan ki Tarah hai jiske karan aik dusre Ki bhavanao Ko mahsus Kar pana bahut hi jaruri hai tabhi ye aik dusare se mil payenge iske liye jaruri hai ki dono aik dusare
Ke sath Ashok samay bitaye taki aik dusare ki bhavanao Ko samajh sake.
6. Sharirik sukh Aur yon ichchao ka pura na hona :Aik dusre Ki yon ichchao Ka pura Karne me kami hona ya yon ichchha puri na hona.
Upay :pati dwara patni ki Sabhi tarha se yon ichchao Ko purna Kar use sukh dena bahut hi jaruri hai Thik usi tarha patni Ko bhi pati ka pura sath dene ka jarurat hoti hai Yadi dono mese aik bhi kamjor rahta hai to iska asar uske pure jivan par padhta hai . Raten kharab hoti hai avam aik dusare par se bharosa uthane lagta hai .Apka man dusari jagah Jane ya Kahi Aur sukh dundhane me lag jata hai jiske karan bada basaya Ghar ujad Jane ki nobat aa jati hai.
Aisi nobat aane se pahle kisi Doctor ki salah se upchar karaye avam yonjivan ka aanand le.
Aasha hai ye baten aapke jivan me khushiya avam sukh shanti badhane me upyogi siddha ho.
Comments
Post a Comment